khuban ke bich jaanan mumtaz hai sarapa andaz-e-dilbari mein ejaz hai sarapa pal pal matak ke dekhe dag dag chale latak ke wo shokh chhal chhabila tannaz hai sarapa tirchhi nigah karna katra ke baat sunna majlis mein aashiqon ki andaz hai sarapa nainon mein us ki jadu zulfan mein us ki phanda dil ke shikar mein wo shahbaz hai sarapa ghamza nigah taghaful ankhiyan siyah o chanchal ya rab nazar na lage andaz hai sarapa us ke khiram upar taus mast haiga wo mir dil-rababi tannaz hai sarapa kisht-e-ummid karta sarsabz sabza-e-khat anjam-e-husn us ka aaghaz hai sarapa waqt-e-nazara 'faez' dildar ka yahi hai bistar nahin badan par tan-baz hai sarapa