lahu ka dagh na tha zakhm ka nishan na tha wo mar chuka tha kisi ko magar guman na tha main chal pada tha kahin ajnabi dishaon mein hawa ka zor tha kashti mein baadban na tha main us makan mein muddat se qaid tha ki jahan koi zamin na thi koi aasaman na tha meri shikast meri fath kuchh nahin yani wo hadsa tha koi mera imtihan na tha tumhaare daur mein har aadmi hai but ki tarah hamare ahd mein patthar bhi be-zaban na tha kisi khandar mein hi mujh ko diya jalana pada chamakte shahr mein mera koi makan na tha main sabz rang ka chashma pahan chuka tha 'kalim' meri nigah mein manzar lahuluhan na tha