khubiyon ko maskh kar ke aib jaisa kar diya hum ne yun aibon ki aabaadi ko duna kar diya tai to ye tha har badi ki intiha tak jaenge be-khayali mein ye kaisa kaam achchha kar diya mujh se kal mahfil mein us ne muskura kar baat ki wo mera ho hi nahin sakta ye pakka kar diya chilchilati-dhup thi lekin tha saya ham-qadam saeban ki chhanw ne mujh ko akela kar diya main bhi ab kuchh kuchh samajhne lag gaya hun ai tabib dard ne sine mein uth kar kya ishaara kar diya