taq-e-mazi mein jo rakkhe the saja kar chehre

taq-e-mazi mein jo rakkhe the saja kar chehre
le gai tez hawa gham ki uda kar chehre

jin ke honton pe tarab-khez hansi hoti hai
wo bhi rote hain kitabon mein chhupa kar chehre

karb ki zard tikonon mein kai tirchhe khutut
kis qadar khush tha main kaghaz pe bana kar chehre

mu-qalam le ke mere shahr ki diwaron par
kis ne likkha hai tera nam mita kar chehre

log phirte hain bhare shahr ki tanhai mein
sard jismon ki salibon pe utha kar chehre


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close