KHubsurat chand jaisi dil-nashin ka ho gaya

khubsurat chand jaisi dil-nashin ka ho gaya
dil na ab mera raha ek naznin ka ho gaya

tum ko ab han bolne ki kuchh zarurat hi nahin
main to pahle hi tumhaari is nahin ka ho gaya

ishq se milne gale aise baras baitha ki bas
dekhte hi dekhte baadal zamin ka ho gaya

rabta mera ghazal se ho gaya ek mod par
zindagi bhar ke liye phir us hasin ka ho gaya

mujh ko 'sahir' le ke aae shaeri ki bazm mein
phir mila jab 'jaun' sahib se yahin ka ho gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close