KHud aap-apni zad mein sitam-gar bhi aaega

khud aap-apni zad mein sitam-gar bhi aaega
tum muntazir raho ki ye manzar bhi aaega

is ret ke nagar ko na ghabrao dekh kar
aage badho ki ek samundar bhi aaega

khushbu ka qafila ye bahaaron ka silsila
pahuncha hai shahr tak to mere ghar bhi aaega

chalte ho mere sath to itna bhi soch lo
rahon mein meri gham ka samundar bhi aaega

maqtal ko ja raha hun ye 'mansur' soch kar
chhinta koi lahu ka to un par bhi aaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close