kuchh bhi ho ye to mere yar nahin ho sakta main tera hashiya-bardar nahin ho sakta dil se tum ja to rahe ho magar itna sun lo ye daricha kabhi diwar nahin ho sakta rasm-e-izhaar-e-mohabbat mein zaruri hi sahi ye tamasha sar-e-bazar nahin ho sakta wasl ki chah karun hijr mein bhi aah bharun ye mere ishq ka mear nahin ho sakta apni tarif suni hai to ye sach bhi sun le tujh se achchha tera kirdar nahin ho sakta