khud apne aap pe aise ata hua hun main sadi ke sab se bade jurm ki saza hun main lahuluhan hai chehra wajud chhalni hai sadi jo bit gai us ka aaina hun main ajib aalam-e-ah-o-buka hai mera wajud tadapte chikhte lamhon ka marsiya hun main ajib sa mere sine mein ek talatum hai ki mauj mauj samundar bana hua hun main kabhi to waqt ki sarhad ke par utrunga ki bund bund samundar ko pi raha hun main 'shafiq' ab koi ehsas kya jhinjhodega nigah se girte hi patthar ka ho gaya hun main