main jurm-e-khamoshi ki safai nahin deta zalim use kahiye jo duhai nahin deta kahta hai ki aawaz yahin chhod ke jao main warna tumhein izn-e-rihai nahin deta charke bhi lage jate hain diwar-e-badan par aur dast-e-sitam-gar bhi dikhai nahin deta aankhen bhi hain rasta bhi charaghon ki ziya bhi sab kuchh hai magar kuchh bhi sujhai nahin deta ab apni zamin chand ke manind hai 'anwar' bolen to kisi ko bhi sunai nahin deta