khud apne aap se rutha hua hun samajhte hain wo main un se khafa hun haqaeq se chura kar aankh apni main kin sayon ke pichhe bhagta hun koi to rasta hoga batana tere dil tak pahunchna chahta hun ba-zahir hai hansi honton pe mere magar andar se main tuta hua hun jahan khud ko muqaffal kar rakha tha main us kamre ki chabi kho chuka hun ye kis ne mujh ko bas mein kar liya hai ishaaron par main kis ke chal raha hun agarche haal hai tarik mera sitara aane wale waqt ka hun tapa hun aatish-e-dauran mein 'nayab' to ab ja kar kahin kundan bana hun