kyun zulm dha raha hun main apne wajud par kichad uchhaalta hun main apne wajud par inkar kar ke khud hi main apne wajud ka ghussa utarta hun main apne wajud par kya chahta hun khud se mujhe khud nahin pata aur tan chhodta hun main apne wajud par dar hai koi chura na le mujh se kabhi mujhe pahre laga raha hun main apne wajud par kar ke khud apne sare subuton ko mustarad ungli utha raha hun main apne wajud par 'nayab' mujh se faiz uthata hai har koi kab dagh-e-bad-numa hun main apne wajud par