khud apne aap ko zanjir karta rahta hai wo mere khwab ki tabir karta rahta hai ajab nahin ki use meri aarzu hi na ho ki ab wo aane mein takhir karta rahta hai nae makan ki wusat na us ko ras i wo ab bhi zehn mein taswir karta rahta hai qalam uthane ki tahrik bhi usi ne di aur ab wahi hai ki tazir karta rahta hai uyub apne chhupaoge kis tarah 'bismil' wo roz namcha tahrir karta rahta hai