khud apne dil mein kharashen utarna hongi abhi to jag ke raaten guzarna hongi tere liye mujhe hans hans ke bolna hoga mere liye tujhe zulfen sanwarna hongi teri sada se tujhi ko tarashna hoga hawa ki chap se shaklen ubhaarna hongi abhi to teri tabiat ko jitne ke liye dil o nigah ki sharten bhi haarna hongi tere visal ki khwahish ke tez rangon se tere firaq ki subhen nikhaarna hongi ye shairi ye kitaben ye aayaten dil ki nishaniyan ye sabhi tujh pe warna hongi