dil ka safar bas ek hi manzil pe bas nahin itna khayal us ka hamein is baras nahin dekho gul-e-ahaar-e-asar dasht-e-sham mein diwar-o-dar koi bhi kahin pesh-o-pas nahin aaya nahin yaqin bahut der tak hamein apne hi ghar ka dar hai ye bab-e-qafas nahin aisa safar hai jis ki koi intiha nahin aisa makan hai jis mein koi ham-nafas nahin aaegi phir bahaar isi shahr mein 'munir' taqdir is nagar ki faqat khar-o-khas nahin