khud apne fan mein jo kaamil nahin hai jahan mein wo kisi qabil nahin hai wahi nakhl-e-tamanna kyon hara ho ki jad mohkam jise hasil nahin hai safina kyon hamara dagmagae ki bach aane ko kya sahil nahin hai jo parda zehn-e-insan par pada tha wo parda uth gaya hail nahin hai ye ilm-o-fan ki duniya hai ai 'basir' mukammal jo abhi hasil nahin hai