wo jo bhi karen shikwe khamosh suna karna dastur hai ulfat ka apnon se gila karna turbat pe meri aa kar itni to wafa karna do phul chadha kar tum bakhshish ki dua karna bechain raha ab tak us but ki mohabbat mein hota wo nahin mera aakhir mujhe kya karna shewa hi raha apna zid un ki uthane ka un ki bhi ye aadat hai apna hi kaha karna sayyaad na kar aisa kambakht sitam hai ye bulbul ko bahaaron mein gulshan se juda karna duniya ke sitam hain kuchh aise hi yahan 'basir' be-dard zamane mein achchhon ka bura karna