khud apne khun mein pahle nahaya jata hai waqar khud nahin banta banaya jata hai kabhi kabhi jo parinde bhi an-suna kar den to haal dil ka shajar ko sunaya jata hai hamari pyas ko zanjir bandhi jati hai tumhaare waste dariya bahaya jata hai nawazta hai wo jab bhi azizon ko apne to sab se baad mein hum ko bulaya jata hai hamin talash ke dete hain rasta sab ko hamin ko baad mein rasta dikhaya jata hai