marham ke nahin hain ye taraf-dar namak ke nikle hain mere zakhm talabgar namak ke aaya koi sailab kahani mein achanak aur ghul gae pani mein wo kirdar namak ke donon hi kinaron pe thi bimaron ki majlis is par the mithe ke to us par namak ke us ne hi diye zakhm ye gardan pe hamari phir us ne hi pahnae hamein haar namak ke kahti thi ghazal mujh ko hai marham ki zarurat aur dete rahe sab use ashaar namak ke jis samt mila karti thin zakhmon ki dawaen sunte hain ki ab hain wahan bazar namak ke