khud apne qatl ka ilzam dho raha hun abhi main apni lash pe sar rakh ke ro raha hun abhi usi pe fasl khadi hogi ek sadaon ki main jis zamin pe khamoshi bo raha hun abhi sab apni apni fasilen hata len raste se main apni rah ki diwar ho raha hun abhi kaho ki dasht abhi thoda intizar kare main apne paon nadi mein bhigo raha hun abhi main tujh ko phenk bhi sakta tha zindagi lekin kisi umid pe ye bojh dho raha hun abhi bahut si aankhen meri rah dekhti hongi main ek khwab hun tabir ho raha hun abhi