khud apne ujale se ojhal raha hai diya jal raha hai nahin jaante kis tarah jal raha hai diya jal raha hai samundar ki maujon ko chhu kar hawaen palatne lagi hain sitara falak par kahin chal raha hai diya jal raha hai koi faisla to karo raste se guzarti hawao ye qissa badi der se tal raha hai diya jal raha hai kahin dur tak koi jugnu nahin hai sitare bujhe hain chamakta hua chand bhi dhal raha hai diya jal raha hai koi yaad phir dil mein aa kar basi hai mahak si hui hai koi khwab aankhon mein phir pal raha hai diya jal raha hai