wo jitni KHud-numai kar raha hai By Ghazal << ek to ishq ki taqsir kiye... KHud apne ujale se ojhal ... >> wo jitni khud-numai kar raha hai khud apni jag-hansai kar raha hai zara sa josh kya dariya mein aaya samundar ki burai kar raha hai zara hum ne zaban kya band kar li zamana lab-kushai kar raha hai Share on: