khud apne wajud apni hi hasti mein nahin hun main aap meri zat ki mitti mein nahin hun jo chaak pe rakkha hai wo mitti ka badan hai main ruh-e-abad hun kisi chakki mein nahin hun duniyawi jhamele se kahin dur bahut dur main hun bhi to is jism ki basti mein nahin hun mat map dariche se tu is charkh ki wusat duniya main teri tang-nigahi mein nahin hun koi na mujhe harf ke sanchon mein talashe lafzon se nadarad hun maani mein nahin hun