dhanak ke rang khushbuon ke pairahan bana raha hun khak se nae badan tumhaara dhyan koi mushk-bar ban ye man kulanche marta hua hiran wo teri wusaten samajh nahin sake tujhe samajh liya gaya faqat badan ye kaisa waqt dekhna pada mujhe mujhe jala nahin rahi teri chhuan thirak uthi thi in labon par ek hansi tamam phul khil uthe the dafatan badalte waqt ne badal diya mujhe tamam wahshaten bana gaya thakan sharab-e-ishq pi rahe hain shaikh ji namaz-e-ishq padh rahe hain barhaman main be-hunar hun mujh mein koi fan nahin sawab-e-ishq hai mujhe fan-e-sukhan