khud apni aanch se ek shakhs jal gaya mujh mein ye main nahin hun to phir kaun dhal gaya mujh mein ye kis ne chhed ke rakh di meri ana ki sipar ye kaun tir ki manind chal gaya mujh mein phir us ki yaad mein dil be-qarar rahne laga phir ek bar ye patthar pighal gaya mujh mein ye aaine mein mere aks ke siwa kya tha ki ek shakhs achanak dahal gaya mujh mein kuchh aise habs bhare roz-o-shab mile mujh ko ki ek pae ka fankar gal gaya mujh mein kisi taraf se sahaara mila na jab koi to ek dolta insan sambhal gaya mujh mein dhanak ke rang bhala kaun chhu saka 'zamin' ye aaj kyun mera bachpan machal gaya mujh mein