samajh mein us ki maqam-e-bashar nahin aaya jise khud apne siwa kuchh nazar nahin aaya rahegi pyasi ye dharti mere khuda kab tak ruten guzar gain baadal idhar nahin aaya hazar chand sitaron ki sair kar aae hamein zamin pe chalna magar nahin aaya zamir bechna aasan sahi magar yaro khata muaf hamein ye hunar nahin aaya bhale the din to hazaron the gird-o-pesh mere pada jo waqt to koi nazar nahin aaya ye saneha hai mere ahd ka ki jab dekha koi bhi shahr mein mukhlis nazar nahin aaya abhi se kis liye pathraw ka saman hai 'shafiq' abhi to phal bhi koi ped par nazar nahin aaya