KHud apni hi hadon ka daera tha saeban hum the

khud apni hi hadon ka daera tha saeban hum the
na jaane raat kitne tajrabon ke darmiyan hum the

sadaon ke taaqub mein khud apne hosh kho baithe
darakhton ki ghaneri chhanw thi aur be-zaban hum the

kiya jab ghaur to sab wusaten mahdud-tar niklin
fareb-e-khud-nigahi mein to bahr-e-be-karan hum the

giri ek int diwar-e-shikasta se magar sakit
ki jaise saikdon sadiyon ke bas ek raaz-dan hum the

chalo kab tak yunhi malte rahen bojhal si palkon ko
ki jis mein raat bhar ghutta raha dam wo dhuan hum the

kabhi hansna kabhi rona kabhi khushiyan kabhi aansu
kirae-dar wo sab the kirae ka makan hum the

ajab andaz ki sozish thi 'nashir' jhulse mazi ki
mila karte the shahzade jahan wo dastan hum the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close