sadiyon ki gahri mahrumi rahm-o-karam bana kar de

sadiyon ki gahri mahrumi rahm-o-karam bana kar de
aadha khuld-e-barin mein ya-rab aadha khak-e-zamin par de

mausam ke hamrah chale aate hain kuchh andeshe bhi
ek kushada chhat ke niche pukhta diwar-o-dar de

mahak rahi hain har basti mein aam aur jamun ki faslen
bachche kyon khamosh khade hain sab ke hath mein patthar de

sab ko sab kuchh dene wale main bhi ek bhikari hun
bin mange bin hath pasare tu mera daman bhar de

us ke har goshe se mujh ko apni hi khushbu aae
jo ghar ki tarif mein aae armanon ko wo ghar de

jaane kya kya mang raha hai bachchon ka bedar shuur
angaron par khushbu dahka sahra bich samundar de

aise kapde pahna mujh ko jo aankhon ko bhale lagen
ghas-phus ki diwaron ko ghas-phus ka chhappar de

jo bhi guzra jaisa guzra main ne sab kuchh jhel liya
be-payan rahmat ke sae ab bachchon ke sar par de

mujh se apne hi zakhmon ka bojh nahin uthta 'parwaz'
jitna jo hai wo kafi hai kuchh na andar bahar de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close