khud apni soch ke panchhi na apne bas mein rahe khuli faza ki tamanna thi aur qafas mein rahe bichhad ke mujh se azab un pe bhi bahut guzre wo mutmain na kisi pal kisi baras mein rahe main ek umr se un ko talash karta hun kuchh aise lamhe the jo apni dastaras mein rahe lahu ka zaiqa kadwa sa lag raha hai mujhe main chahta hun ki kuchh to mithas ras mein rahe kisi ka qurb mere dil ki raushni thahre kisi ke aane se khushbu mere nafas mein rahe suna hai us ki guzarti hai taza phulon mein 'zaman' jis ke liye shahr khar-o-khas mein rahe