khud-ba-khud dida-o-dil mein jo samaya jae hae us shakhs ko kis tarah bhulaya jae ek ek zarre ko aaina banaya jae jalwa-e-husn-e-nazar un ko dikhaya jae baat jab hai ki na guzre dil-e-nazuk pe giran shauq se haal-e-shab-e-hijr sunaya jae mah-o-anjum hain kahin aur kahin lala-o-gul daman-e-shauq ko kis kis se bachaya jae kaisi pabandi-e-zindan ki hai fitrat aazad khun-e-dil se chaman-e-taza banaya jae shewa-e-zabt ka ai dost taqaza hai yahi dil ka har raaz khud un se bhi chhupaya jae un ki mahfil mein agar rasm-e-zaban-bandi hai qissa-e-shauq nigahon se sunaya jae saya-e-barq mein ai josh-e-mazaq-e-tamir aashiyan roz gulistan mein banaya jae hone pae na kahin zindagi be-kaif 'nazir' ek hangama-e-khamosh machaya jae