mere dil-e-wahshi ki bas itni haqiqat hai ek dard ka aalam hai duniya-e-mohabbat hai hamdard kisi ka ab duniya mein nahin koi badla hua har ek ka andaz-e-tabiat hai rudad-e-shahidan hai isar ka aaina isar ka aaina shahkar-e-haqiqat hai har ghuncha-e-naurasta kahta hai ye gulchin se phulon pe sitam dhana anjam se ghaflat hai gulzar-e-watan ka kyon har dam na khayal aae dil ke liye kanta sa ye wadi-e-ghurbat hai mujh par jo guzarti hai auron ki bala jaane sahna hai mujhe khud hi ye meri musibat hai aakar meri mizhgan par jab ashk chamakte hain wo kahte hain moti hain allah ki qudrat hai naghmat-e-'saadat' mein ek gul ke talluq se kaliyon ki nazakat hai shabnam ki latafat hai