khud dekh khudi ko o khud-ara pahchan khuda ko bhi khuda-ra tirchhi ye nigah hai ki aara har juzw-e-jigar hai para para dekhenge buton ki hum kaji ko sidha hai agar khuda hamara kyun maut ke aasare pe jite ai zist hamein to tu ne mara allah-re dil ki be-qarari khata hi nahin kahin sahaara jaan deni hai meri aazmaish dildari hai imtihan tumhaara tufan hai josh-e-tishna-kaami dariya bhi to kar gaya kinara shirini-e-jaan ki kab khuli qadar jab zahr hua hamein gawara har shakh pe aashiyan hai larzan is bagh mein ho chuka guzara gardish ka 'qalaq' ki dekhna auj har qatra-e-khun bana sitara