khud-faramosh-e-qafas hum hain chaman yaad nahin ghair ke ho gae aise ki watan yaad nahin chandni husn ki achchhi hai magar naz na kar tujh ko is chand ka tarik gahan yaad nahin us ki mahfil mein hua tha kabhi apna bhi guzar baaten kuchh ki thin magar mujh ko dahan yaad nahin shikwa-e-hijr ki khwahish na kar ai dil ki tujhe samna ho to koi ranj-o-mehan yaad nahin jalwa-e-hilla-e-jannat se ye khud-rafta hua main ne kin hathon se pahna tha kafan yaad nahin kyun sunate ho abas ahl-e-wafa ko baaten ki unhen tarz-e-mukafat-e-sukhan yaad nahin tafraqa-saz-garon ki ye had hai ki mujhe mil ke baithe the kabhi ruh-o-badan yaad nahin hum to mar mar ke sikhaya kiye lekin ab tak ishq ka husn-e-khud-ara ko chalan yaad nahin turra-e-gesu-e-jaanan teri nikhat ki qasam main ne dekha tha magar mushk-e-khutan yaad nahin kya bataun tujhe main qaid-e-mohabbat kya thi dast-o-pa ko mere zanjir-o-rasan yaad nahin tere nazzare mein dil mahw tha aisa dam-e-ranj tegh ka phal mujhe ai seb-e-zaqan yaad nahin dagh ginte hue guzre hain qafas mein shab-o-roz kis tarah khulte the gul-ha-e-chaman yaad nahin qadr-dan pa ke bahal jate hain aawara-watan jab to nikle hue moti ko adn yaad nahin zabh hone se mere un ko tajjub hai to ho apne mathe ki wo khun-rez shikan yaad nahin kaun sunta hai ye afsana-e-gham ai 'saqib' qabil-e-ahl-e-zamana koi fan yaad nahin