nur-e-iman surma-e-chashm-e-dil-o-jaan kijiye parda-dar-e-husn-e-yakta chashm-e-hairan kijiye mushkilat-e-rah ko himmat se aasan kijiye tai fana ki manzilen uftan-o-khizan kijiye be-hijabana khud-arai ke saman kijiye mazhar-e-shan-e-tajalli bazm-e-imkan kijiye hain man-o-tu jalwa-e-ha-e-husn-e-wahdat ka hijab sham-e-bazm-e-khud-shanasi nur-e-irfan kijiye jalwa-ha-e-tur ki takrar ya tajdid ho lan-tarani se masawi kufr-o-iman kijiye shirk gar manzur hai aur hai anal-haq na-qubul dar par mansur ko khichwaiye han kijiye khud-numai naz hai andaz khud-araiyan jalwa-e-jaan se munawwar qalb-e-insan kijiye kaif-e-masti mein ki irfan-e-junun mein al-gharaz wa har ek band-e-naqab-e-ru-e-jaanan kijiye kar diya rahmat ne nurani mera zulmat-kada nosh-e-jaan jam-e-safa se aab-e-haiwan kijiye rahrawan-e-jada-e-ishq-o-fana mansur hain aarzu-ha-e-do-alam un pe qurban kijiye hum hain hindi aur hamara mulk hai hindostan hind mein paida tasawwuf ke zaban-dan kijiye mastiyan 'sahir' ki hain jam-e-mai-e-tauhid se ho sake to aise kafir ko musalman kijiye