khud-farebi hai dagha-bazi hai ayyari hai aaj ke daur mein jina bhi adakari hai tum jo pardes se aao to yaqin aa jae ab ke barsat ye sunte hain badi pyari hai mere aangan mein to kante bhi hare ho na sake us ki chhat pe to mahakti hui phulwari hai chudiyan kanch ki qatil na kahin ban jaen sehr-angez buri un ki gulu-kari hai kash bijli koi chamke koi baadal barse aaj ki sham zaminon pe bahut bhaari hai kha gai garmi-e-jazbaat ko rasmon ki hawa aaj har shakhs faqat barf ki almari hai main bhi radha se koi kam to nahin hun 'shabnam' sanwle rang ka mera bhi to girdhaari hai