phir tez hawa chalte hi be-kal huin shakhen kis dard ke ehsas se bojhal huin shakhen kya soch ke raqsan hain sar-e-sham khule sar kis kahish-e-be-nam se pagal huin shakhen girte hue patton ki tadapti hui lashen sad-tantana-e-zist ka maqtal huin shakhen tarsi hui bahen hain humakte hue aaghosh diwangi-e-shauq ka symbol huin shakhen phir raat ke ashkon se faza bhig chali hai phir os ki barsat se shital huin shakhen jhonke hain ki shahnai ke sur jag rahe hain ek naghma-gar-e-naz ki pael huin shakhen bargad ka tana ek sadi umr-e-rawan ki sae hain mah-o-sal to pal pal huin shakhen har dal pe ek tutti angdai ka aalam shab-bhar jo hawa tez rahi shal huin shakhen jata hua mahtab jo dam-bhar ko ruka hai ek mahwash-e-tannaz ka aanchal huin shakhen jab dub gaya gham ke ufuq mein dil-e-tanha mahtab se dur aankh se ojhal huin shakhen