khud-farebi ne be-shak sahaara diya aur tabiat ba-zahir bahalti rahi ek kanta sa dil mein khatakta raha ek hasrat si dil ko masalti rahi apne gham ko hamesha bhulaya kiye kasrat-e-kar mein sair-e-bazar mein al-gharaz kasmapursi ke aalam mein bhi zinda rahne ki surat nikalti rahi aql ki bartari dil ne mani to kya us ne chaha kabhi aql ka mashwara dil ko jis tarah chalna tha chalta raha aql har gam par hath malti rahi bazm-e-hasti mein aane ko aae sabhi ahl-e-dil ahl-e-din shair-o-falsafi aadmi ko jo karna tha karta raha aur duniya ba-dastur chalti rahi is ki surat jo chaho badal jaegi jaise sanche mein dhaaloge dhal jaegi koi sancha yahan harf-e-akhir nahin zindagi to hamesha badalti rahi aadmi sath rahne pe majbur hai phir bhi ek dusre se bahut dur hai dushmanon se to hoti bhala sulh kya jabki khud doston se bhi chalti rahi