hai ibarat jo gham-e-dil se wo wahshat bhi na thi sach hai shayad ki hamein us se mohabbat bhi na thi zindagi aur pur-asrar hui jati hai ishq ka sath na hota to shikayat bhi na thi tujh se chhut kar na kabhi pyar kisi se karte dil ke bahlane ki lekin koi surat bhi na thi ghor-andheron mein khud apne ko sada de lete rah chalte hue logon mein ye jurat bhi na thi zid mein duniya ki bahar-haal mila karte the warna hum donon mein aisi koi ulfat bhi na thi mar mite log sar-e-rah-guzar-e-ishq 'fuzail' apne hisse mein ye chhoti si saadat bhi na thi