khud hi ruthe ho to phir is ka mudawa kyon ho hum na kahte the ki han ranjish-e-beja kyon ho har bashar apni pareshan-nazari ke ba-wasf khud tamasha hai to phir mahw-e-tamasha kyon ho dil ke bahlane ko ummid-e-karam rakhte hain warna ye hum bhi samajhte hain ki aisa kyon ho dasht jo meri tamanna na kare dasht nahin khak jis mein na ude meri wo sahra kyon ho ek lahza bhi jo paun gham-e-hasti se faragh ek naya ranj pukare hai ki tanha kyon ho