kucha-e-rang-e-malamat ke sab aasar ke sath aa gae dasht mein hum bhi dar-o-diwar ke sath dasht-e-wahshat ne mere noch li shab ki poshak tod di panw ki zanjir bhi jhankar ke sath meri tanhai mein ek wajd ki kaifiyyat hai raqs karta hun main ek aalam-e-asrar ke sath gunjta hai mere sine ke nihan-khane mein sans leta hai koi waqt ki raftar ke sath kat dalunga main khud apni ana ki shah-e-rag aaj khud apne muqabil hun main talwar ke sath din to khwabon se ulajhne mein guzar jata hai raat kat jati hai aaram se aazar ke sath jis ko duniya ne bhi bekar samajh rakkha tha main ne sikha hai bahut kuchh isi bekar ke sath nazninan-e-khush-andaam ka shair hun main baith ke dekh kabhi 'shahid'-e-tarrar ke sath