khud hi ye dard-e-sar qubul kiya har azab-e-safar qubul kiya kaun hai jis ki khoj mein hum ne ghumna dar-ba-dar qubul kiya na to main hi kahun na dil mera kis ne kis ka asar qubul kiya ghumna kucha-e-malamat mein hum ne kya soch kar qubul kiya hum ne do din ki zindagi ke liye kitna lamba safar qubul kiya mani-e-zist hi badal denge hum ne jina agar qubul kiya did ki chah mein in aankhon ne har fareb-e-nazar qubul kiya is ibaadat ke farz ko 'rahat' man nahin tha magar qubul kiya