khushi ka dusra pahlu hai aur gham kya hai nafas ki aamad-o-shud hi to hai ye dam kya hai padha tha katib-e-taqdir ka likha hum ne tabhi chala tha pata waqat-e-qalam kya hai koi bhi thik kabhi thik se nahin rakkha mujhe pata hi nahin besh kya hai kam kya hai jhuke na yar ke dar par to wo jabin kaisi uthe na jaanib-e-manzil to wo qadam kya hai kuchh aisa farq nahin e'tiqad ki saugand mujhe khabar hai yaqin kya hai aur bharam kya hai yahi ki jhelunga hans hans ke sab masaib main mujhe pata hai jabin pe meri raqam kya hai main mang mang ke 'rahat' duaen samjha hun jahan mein ghair-aham kya hai aur aham kya hai