khud ko apne du-badu rakkha gaya aaina yun ru-ba-ru rakkha gaya sar burida hai mera par kham nahin yani sar ko surkh-ru rakkha gaya ishq mein izzat agar itni hai to qais kyon be-abru rakkha gaya taki koi baat bhi na sun saken khud ko mahw-e-guftugu rakkha gaya kya haqiqat mein bhi wo maujud hai jis ko mere chaar-su rakkha gaya yun na ho ki sanp ka ye ghar bane aastin ko be-rafu rakkha gaya nam tera samne rakkha hai yun jis tarah jam-o-subu rakkha gaya ek palde mein zamana rakh diya dusre mein sirf tu rakkha gaya kuchh hisar-e-bebasi mein tha 'khizar' kuchh use bhi hila-ju rakha gaya