main zulmaton mein ujale ki ek alamat tha isi ka nam to is shahr mein baghawat tha mujhe mita ke bhala tu kahan raha baqi mera wajud teri zat ki shahadat tha sabhi mare hue the ek shakhs zinda tha usi ko marna sab ke liye ibaadat tha luta ke jaan bhi jis phul ki hifazat ki wo phul bhi to kisi aur ki amanat tha gulon ko raund ke aae ho apne panw tale faqat yahi tera sarmaya-e-shujaat tha mujhe qubul koi shakhs bhi na kar paya main is jahan mein goya koi sadaqat tha thakan se chur hua to 'khizar' khula mujh par mera qiyam bhi duniya mein ek masafat tha