khud ko bhuka hi rakha aur kamai roti tab kahin bap ne bachchon ko khilai roti us ki mehnat ke hi sadqe mein mili hai hum ko us ne jal jal ke hi kheton mein ugai roti ek muddat mein mere ganw ko lauta jab main apne hathon se meri man ne khilai roti aur mangega bhi kya is ke siwa budha faqir ek kambal ho agar aur do dhai roti hum ne khun de ke banaya hai zamin ko zarkhez tab kahin ja ke tere hath mein aai roti us ke chehre pe khushi dekhne ke laeq thi us ne jab pahli dafa gol banai roti main ne kal shab jo sabab rone ka puchha us se us ne chanda mein ishaare se dikhai roti