junhi dekha teri raushan-jabin ka nur khalwat mein hai mahw-e-rashk koh-e-qaf ki wo hur khalwat mein teri yaadon ne kar dala hamein majbur khalwat mein chhalak uttha hai palkon se gham-e-mastur khalwat mein meri sansen mahakti hain teri khushbu se aksar yun jun koi ghuncha-e-dil ho tera mazkur khalwat mein aziyyat-nak raaton mein sisakti hain tumhaare bin mere kamre ki diwaren ghamon se chur khalwat mein shikam khali badan nanga hai pairon mein thakan pahne liye bachchon ko rota hai koi mazdur khalwat mein shab-e-hijran ki tanhai teri furqat ka gham is par shikasta dil hai yun bhi zabt se mamur khalwat mein waba phaili hai aalam mein jidhar dekho udhar 'afzal' munasib hai ki rahiye ab sabhi se dur khalwat mein