khud ko hum yun tabah kar lenge khubsurat gunah kar lenge tum na mil pae koi baat nahin ranj-o-gham se nibah kar lenge bandishen tod kar zamane ki hum mohabbat ki rah kar lenge us ki aankhon mein dubne ke liye apne dil se salah kar lenge sari duniya se ho ke be-parwa us ki jaanib nigah kar lenge hum ne aisa kabhi na socha tha ishq hum be-panah kar lenge