khud ko khudi ka aaina dikhla raha hun main apna harif aap bana ja raha hun main qismat ki pastiyon ki haden khatm ho chukin ab rifaton ki samt uda ja raha hun main nakaam-e-arzu hun magar uf yaqin-e-ishq danista phir fareb-e-wafa kha raha hun mohar-e-sukut-e-lab pe hai bahke hue qadam ai be-khudi phir aaj kidhar ja raha hun main phir dekhta hun chehra-e-mazi ke khadd-o-khal saqi sambhaal hosh mein phir aa raha hun main ruk jae jis ke shor se dasht-o-jabal ki sans us sail-e-ranj-o-gham mein baha ja raha hun main jaane ko hun ahata-e-alam se dur-tar bas chand roz tum ko nazar aa raha hun main shams-o-qamar hain rah mein zarraat ki tarah kis ki tajalliyon mein ghira ja raha hun main tha jo khayal teri jafaon se peshtar dil ko usi khayal se bahla raha hun main badh badh ke 'raj mere qadam le rahi hai maut kis zindagi ki samt badha ja raha hun main