ab yahi ranj-e-be-dili mujh ko mitae ya banae lakh wo mehrban sahi us ki taraf bhi kaun jae ruthe hue wajud bhi dard-e-ana se kam nahin kyun main kisi ke naz uthaun mujh ko bhi koi kyun manae saya-e-qurb mein milen aa wahi donon waqt phir hont pe subh jagmagae aankh mein sham muskurae din ko dayar-e-did mein wusat-e-lams se gurez shab ko hisar-e-chashm mein khud hi misl-e-khwab aae khatm hain waqiat bhi zist ki wardat bhi ab wo jhuki jhuki nazar khud koi dastan sunae munis-e-khalwat-e-wafa aaj bhi hai wo dil ki jo shama ki lau mein thartharae chand ke sath dub jae maut ke baad zist ki bahs mein mubtala the log hum to 'sahar' guzar gae tohmat-e-zindagi uthae