khud ko pa-basta-e-zanjir kiye ja chup-chap khwab sharminda-e-tabir kiye ja chup-chap khama-e-ranj-o-alam se rukh-e-kam-maegi par nusrat-e-jawedan tahrir kiye ja chup-chap ye amal bais-e-taskin-e-junun bhi hoga jazba-e-ishq ki tamir kiye ja chup-chap gham-e-dauran ki aziyyat bhi to dil sahta hai gham-e-jaanan ko bhi jagir kiye ja chup-chap zakhm gahre to ba-zid shauq mere karta raha us masihai ki tadbir kiye ja chup-chap maqsad-e-zindagi khulta hi chala jaega apne dil mein use taswir kiye ja chup-chap shairi se hai 'khayal' us ko shaghaf sheron mein apne jazbaat ko taskhir kiye ja chup-chap