sukun-e-dil ke liye ishq to bahana tha wagarna thak ke kahin to thahar hi jaana tha jo iztirab ka mausam guzar aaen hain wo jaante hain ki wahshat ka kya zamana tha wo jin ko shikwa tha auron se zulm sahne ka khud un ka apna bhi andaz jarehana tha bahut dinon se mujhe intizar-e-shab bhi nahin wo rut guzar gai har khwab jab suhana tha kab us ki fath ki khwahish ko jit sakti thi main wo fariq hun jis ko ki haar jaana tha